Satva gun ke fayde , Manushya aur tin Gun (Satsang)

Satva gun se bahut fayde hote hain, Kai Shaktiyaa-siddhiyaa aate hain. Ek vyakti thhe jo bhartiya sanskruti anusar sadhana karte thhe. Unki satvagun itni badi ki unke shishya (ex-president) gyani jair singh ho gaye thhe! Man mei adbhut shaktiya hain.Yeha baithe-baithe (jaise shri krishna,shri ram hote hain) dusr jagah pragat/pahuch sakte hain!

Teen guno ke prabhaav evam Satvagun Badane ke upaay

Satva gun badane hetu upay:

  1. Mantra Jap, Kuch omkar ka uccharan, chalet-firte jap.
  2. Sab mei bhagvat bhaav  karne se.
  3. Kisika bhi ahit nahi sochna.
  4. Ninda chugli nahi karna.
  5. Krodh na karne se. Krodh se satva gun aur punyon ka haraas hota hain. Krodh aaye toh use dekho. Fir bhi jor maarta hain toh bhojan chaba-chabake karein. Iske bavjud bhi hota hon toh ungliya aise band karein [6:21] (nakhun haath ke gaddiyon mei lagein. Krosh se savva (1.25) ounce khun jalta hain!  Garjana karke anushashn karna ek baat hain par krodh karke khun aur punya jalaana dusri  baat hain.
  6. Nirabhimaan hoke sewa karna.
  7. Jo khaaye-piyue use bhagvaan ko arpit karke unka prasaad samjh ke karein.
  8. Jap shwaaso-shwas se kar sakte hain.
  9. Bhagvaan ka apne prati anugra manna arthaat bhagvaan ki kripa hain aise manna.
  10. Prarthna evam khan-paan satvik rakhna. Lahsun,baasi,pyaaj,daaru,maas,aadi se rajo-tamo gun badega . Agar maasik stri ne banaya hua khaaya toh satvagun ka adhik naash ho jaata hain. Satsahaastra ka sewan se bhi Satva gun bahut badta hain.

Satva gun ke fayde :

  1. Aanandit aur pritivan banenge. Saare satva guni ko sneh karte hain. Anand ke liye bahaar bhatakne ki jarurat nahi padti.
  2. Rakt shudh hoga. Svaasth badiya hoga.
  3. Santosh ,saralta aur shraddha toh uske ghar ki milkat hogi.
  4. Krodh ka abhaav hoga. Shama ka sadgun badega.
  5. Kasi bhi paristhithi ho hum dhairyavaan honge.
  6. Hinsak praani apni hinsa bhul jaayenge satva guni ke saamne.
  7. Sadacharan aur Samta ka dhan badega.
  8. Man evam Vyavhaar mei Lolupta (koi mujhe madad karein) nahi hogi. Bapuji ispar bolte hain ki unka evam lolupta ka dur-dur tak rishta nahi tha. Kahi baar bhojan ke liye bhagvaan ko challenge arte the ve; “Socha kahi nahi jaaoonga ,Yehi baithke , ab khaunga. Jisko garaj hogi aayega, sristi karta khud laayega!”
  9. Bhram nahi hoga. ‘Yeh kya hain?’ , ‘Samajh mei nahi aa raha’ ,aadi nahi hoga.Sab kuch samjha karega!
  10. Isht majbut hoga evam anisht nahi hoga.
  11. Man  vash mei aasani se hoga. Dayaluta aapka sadgun banega.

tin gun-bhagvad gita shlok

Rajo guni ka swabhaav:

  1. jarajaraa baat mai sukhi-dukhi hoga, sukh ke liye bhatke ga.
  2. Nirdayta aur aasakti badegi.
  3. Ninda sunega-karega
  4. jhagdalu swabhaav,m ahankaari hoga.
  5. Maan ki vaasna hogi, Achcha kaam hoga fir bhi agar maan nahi
  6. milega toh usse bhi khisak jaayega.
  7. Apna satkaar chaahega par dusre ka nahi karega. Namrata nahi rakhega dusro ko namayega. jis kisi se vair karega.
  8. Santap se tapta rahega. Par dhan hadapne ki kai milegi agar pad toh ghus jaayega vaha.
  9. nirlajta, kutilta(yeh aisa,vah vaisa isprakaar ka dvet buddhi hoga.) Kaam vikar ,dvesh,etc rajo guni mai hoga.

 

Tamo  gun

  1. Baasi khana, pyaj,lahsun,maas,sharab ke khaan-pin tatha shuddhi-ashuddhi nahi rakhne se tamogun badta hain.
  2. Din ko spuega aur raat ko jaga rahega.
  3. Mota-bhari rahega. Bin jaruri baatein  jyada karega.Kaam mai taalamtol karega aur bigdega.
  4. Jo achcha ahi vah usse bura lagaega aur jo galat hai vah use sahi lagega , aisi buddhi maari jaati hain uski.

Satva, Rajo aur Tamo gun se nirala hota hain Brahm-gyaani. Unmei in guna ka koi farak nahi padta.

triguna-guna-diagram-rajas-tamas-sattva

________________________________________________

 

sabun se koi fayde nahi hoteSabun se fayde bilkul nahi hota. Mail bharein nikalta hon vah, par uske nuksaan in faydon ko daba deta ha Ubtan se bahut fayda hota hain.